How to Change Urdu Font in iPhone – Complete Guide

Introduction:

 Aaj kal Urdu likhne aur parhne ka trend din ba din barhta ja raha hai, khaaskar mobile users ke darmiyan. iPhone users bhi chahte hain ke woh apne device mein stylish aur readable Urdu fonts ka use kar sakein, lekin iOS ki limitations ki wajah se log confuse ho jaate hain ke urdu font iPhone mein kaise change hota hai. Is article mein hum aapko detail se samjhayenge ke aap kaise Urdu fonts iPhone mein install kar sakte hain, kaun se apps use karni hain, aur best Urdu fonts kaun se hain jo aapke iPhone pe flawlessly kaam karte hain. (How to Change Urdu Font in iPhone).

Yeh guide un sab Pakistani users ke liye hai jo Jameel Noori Nastaleeq ya koi aur beautiful Urdu font apne iPhone mein dekhna chahte hain — bina jailbreak kiye, safe tareeqe se.


Why You Might Want to Change Urdu Font in iPhone

  • Default font boring ya difficult hota hai
  • Stylish Urdu fonts ka use WhatsApp, Notes aur Safari mein karna
  • Easy readability for elders
  • Custom look and feel

Built-in Urdu Font in iPhone

Apple ke iOS system mein by default Urdu support hoti hai, lekin sirf limited fonts ke sath:

  • Default Urdu Font: Nastaleeq ya Naskh nahi hota
  • Limitation: iOS aapko direct system-wide font change ki permission nahi deta

Lekin kuch tricks aur apps ke zariye aap Urdu fonts change ya add kar sakte hain.


how to change urdu font in  iphone wihtout subscription . through playstore app

How to Add Urdu Font in iPhone – Step-by-Step

How to Change Urdu Font Style in iPhone

Agar aap sirf Urdu font install nahi, balkay uska style change karna chahte hain (jaise ke Nastaleeq, Naskh ya modern Urdu font), to yeh steps follow karein:

  1. Trusted website se Urdu font ka style download karein (.ttf ya .otf format mein)
  2. iFont ya AnyFont app se is font ko import karein
  3. Profile install karne ke baad, font iPhone ke Notes, Pages, Word apps mein available ho jaega
  4. Har font ka style alag hota hai – Nastaleeq classic look deta hai, jabke Naskh clear aur web-friendly hota hai
  5. Test karein ke aapka naya style kis app mein better kaam karta hai aur reading experience improve karta hai

Is tarah aap Urdu font ka sirf installation nahi, balkay uska style bhi customize kar sakte hain without jailbreaking your device.

Add the Urdu Keyboard:

Agar aap Urdu type karna chahte hain iPhone par, to sabse pehle aapko Urdu keyboard install karna hoga:

  1. Settings > General > Keyboard > Keyboards pe jayein
  2. “Add New Keyboard” pe tap karein
  3. List mein se “Urdu” select karein (aap Nastaleeq ya Phonetic layout choose kar sakte hain)
  4. Ab aap easily globe icon tap karke Urdu keyboard use kar sakte hain

Yeh step zaroori hai agar aap WhatsApp, Notes, Pages ya kisi bhi app mein Urdu likhna chahte hain

Using the Urdu Keyboard:

Jab aap Urdu keyboard install kar lete hain, to use karna bhi kaafi simple hota hai. Kisi bhi app mein jahan typing ki zarurat ho, keyboard open karein aur globe icon pe tap karke “Urdu” select karein. Aap Urdu phonetic ya classic layout ke zariye type kar sakte hain. Yeh keyboard har app mein kaam karta hai jese Notes, Safari, WhatsApp, aur Messages. Aapko sirf thoda practice ki zarurat hoti hai taake speed aur accuracy dono improve ho sakein.

StepAction
1App Store se koi trusted font installation app download karein (e.g. iFont, AnyFont
2Urdu font (e.g. Jameel Noori Nastaleeq) ko .ttf ya .otf format mein download karein
3iFont app open karein aur “Import” pe tap karein
4Downloaded font ko select karein aur install karne ke liye Profile banayein
5Settings > General > Profiles & Device Management mein jaake profile allow karein
6Font successfully install ho jaega – ab use apps jese Pages, Word, Notes mein use karein

  • Jameel Noori Nastaleeq
  • Mehr Nastaleeq
  • Nafees Web Naskh
  • PakType Naqsh
  • Alvi Nastaleeq

Yeh tamam fonts JameelNoori.com par available hain – download karne ke liye zaroor visit karein.


Apps You Can Use Urdu Fonts In

  • Microsoft Word (iPhone version)
  • Pages
  • Notes
  • WhatsApp (for typed messages)
  • Safari (Urdu websites)

Note: System-wide font change (settings, menus) possible nahi hota iOS mein – fonts sirf supported apps mein kaam karte hain.


Internal Linking (Helpful Resources)


Tips for Using Urdu Fonts on iPhone

Urdu Font Comparison Table:

Font NameStyleBest ForAvailability
Jameel Noori NastaleeqNastaleeqReading, Writing, Formal ContentJameelNoori.com
Mehr NastaleeqNastaleeqStylish Display, BlogsJameelNoori.com
Nafees Web NaskhNaskhWeb Content, SimplicityOpen Source
PakType NaqshCalligraphicArtistic TextPakType Website
Alvi NastaleeqNastaleeqFormal TypographyFree Font Sources

Additional Tips:

  • Urdu keyboard use karte waqt predictive text feature enable kar lein taake aapko typing mein asani ho
  • Apne favorite Urdu font ka preview dekhne ke liye Notes app ya Pages app mein chhota test likhein
  • Fonts download karte waqt sirf trusted sources jese JameelNoori.com ka hi use karein
  • Ifont ya AnyFont app mein agar error aaye to app ko reinstall karke try karein
  • Font installation ke baad Settings > Accessibility > Display & Text Size mein jaake font visibility ko improve kar sakte hain
  • Hamisha trusted font files (.ttf/.otf) use karein
  • Font apps ka latest version install rakhein
  • Font install hone ke baad iPhone ko restart karna helpful hota hai
  • Safari aur WhatsApp mein Nastaleeq text ka test karne ke liye apne font ko select karke try karein

Common Issues and Solutions in Urdu font installation

  • Font install nahi ho raha?
    Profile allow karna bhool gaye honge (Settings > General > VPN & Device Management)
  • Font show nahi ho raha?
    Sirf compatible apps hi custom fonts show karte hain
  • Keyboard mein font change chahte hain?
    iOS keyboard font change nahi hota, sirf writing apps mein custom font dikhte hain

Conclusion

Agar aap Urdu lover hain aur chahte hain ke aapke iPhone mein beautiful aur readable Urdu font ho, to upar di gayi method ko follow kar ke aap asani se custom Urdu font install kar sakte hain.

Aap JameelNoori.com pe Urdu fonts ke aur bhi collection explore kar sakte hain, specially iPhone aur Android users ke liye banaye gaye.

FAQs – Urdu Font & Font Change in iPhone

Kya iPhone mein Urdu font install ho sakta hai?

Haan, aap iFont ya AnyFont jaise apps ke zariye Urdu fonts install kar sakte hain. Bas .ttf ya .otf format ka font file download karein aur usay app mein import karke install kar lein.

Kya Jameel Noori Nastaleeq iPhone mein chal sakta hai?

Haan, agar aap usay iFont ya AnyFont se install karein.

Font install karke WhatsApp mein kaam karega?

Sirf text view mein, keyboard mein nahi.

Kya iPhone ke menus ka font bhi change hota hai?

Nahi, iOS ke menus aur settings ka font change nahi ho sakta. Apple ka system font fixed hota hai aur sirf third-party apps jese Pages ya Notes mein hi aap custom Urdu font use kar sakte hain. Full system-wide font change jailbreak ke baghair mumkin nahi.

Kya mujhe jailbreak karna parega?

Nahi, yeh process bina jailbreak ke hoti hai.

Best Urdu fonts konsa hai iPhone ke liye?

 iPhone users ke liye sabse popular aur readable Urdu fonts mein Jameel Noori Nastaleeq aur Mehr Nastaleeq shamil hain. Yeh fonts specially Nastaleeq style ke fans ke liye design kiye gaye hain, jo Urdu akhbaron aur kitaabon jaisa look dete hain. In fonts ka use aap easily iPhone ke Notes, Word ya Pages apps mein kar sakte hain — inka layout clean, stylish aur reading-friendly hota hai.

iFont safe hai?

Haan, App Store se milne wala iFont ek trusted aur widely used app hai Urdu aur doosre fonts install karne ke liye. Iska use karna safe hai jab tak aap sirf verified fonts hi install karein. Store se verified app hai.

Kya yeh fonts Android mein bhi kaam karte hain?

Haan, Android devices par bhi yeh fonts install kiye ja sakte hain lekin uska process iPhone se thoda different hota hai. Android mein usually aapko font ko manually install karna parta hai ya kisi custom launcher ka use karna parta hai. Kuch apps jese zFont aur FontFix ismein madad karte hain.

Font ka size adjust kar sakte hain?

Haan, apps mein font size manually adjust hota hai.

Urdu reading ke liye best settings kya hain?

Bold font, bada size, aur light background.

Leave a Comment